Bahut yaad aata hai wo gujra zamaana,
LFD ki raaton mein wo jaagna jagaana,
Wo raat raat bhar user synchronization chalaana,
subah uth ke Database restore corrupt pana,
kabhi unsupported scenario decalaration ka baad kati patang ho jana,
to kabhi UAT pass ho jane pe Tees Mar Khan ban jana…
Bahut yaad aata hai wo gujra zamaana,
LFD ki raaton mein wo jaagna jagaana,
Woh gaadi ke bonut pe kabhi machhi khaana,
Wo Chole kulche ki theli aur paraathe ke saath manchurian lagaana,
wo Cofee Machine ke band ho jane pe team ki energy ka lut jana,
wo tea break me agli shift ke logo ka naam jutana…
jaagi neend mein raat raat bhar wo PSI code chaalana,
restore chalaate chalaate wo kursi pe ludhak jaana,
Database backup me space kam ho jana, wo raat mein atul duggal ko phone lagana,
wo HTTPS ke liye SSL(Vipin) ko lagana
Reporting DB ka Publish DB se har roj bhid jana…
Bahut yaad aata hai wo gujra zamaana,
LFD ki raaton mein wo jaagna jagaana,
Yaad ata hai wo Gaurav ka achanak se aa jana,
aur uske aate hi influenza, body ache and severe bimariyo ka fel jana,
ek seat pe 3 -3 baithne walo ka floor ke kone knone me chup jana,
phir bhi Gaurav ki najaro me query chalate hue amit(Mr Report) ka fas jana..
Wo PSI Code chaalate hue Devendra ka dar dar kr bhaagna
Bahut yaad aata hai wo gujra zamaana,
LFD ki raaton mein wo jaagna jagaana,
Bohat pyare the wo din, jab na raat dekhe the na din,
Na bhookh dekhi the na pyaas, na salary ki thee koi aas,
har haal me…har jeet har haar me…LFD team thee ek sath…
wo team ka dukh ko chupa ke kehna, “Hum hain to kya gam hai”
choad gye ane walo ke liye nishani..
“khub lade mardane…wo to the LFD wale prani the”
—————————————Contributed By Sushil———————————————-
Wo raat mein sutte ki tadap mein SSL ka chatpataana
der raat mein jab saari dukaan band ho, to jugaad ke liye mujhse jack lagwaana
sir se dheere se sharmaate hue lena, phir sutta lagate hue wo mand mand muskaana
Sach bahut yaad aata hai wo gujra zamaana
——————————————————————————————————————–
Read Full Post »